Dil Se Tera KHayal Na Jae To Kya Karun
dil se tera KHayal na jae to kya karun
main kya karun koi na batae to kya karun
ummid-e-dil-nashin sahi duniya hasin sahi
tere baghair kuchh bhi na bhae to kya karun
dil ko KHuda ki yaad tale bhi daba chuka
kam-baKHt phir bhi chain na pae to kya karun
din ho ki raat ek mulaqat ki hai baat
itni si baat bhi na ban aae to kya karun
jo kuchh bana diya hai tere intizar ne!
ab sochta hun tu idhar aae to kya karun
dida-waran-e-but-kada ek mashwara to do
kaba jhalak yahan bhi dikhae to kya karun
apni nafi to falsafi-ji qatl-e-nafs hai
kahiye koi ye jurm sujhae to kya karun
ye hae hae mazhaka-angez hai to ho
dil se uThe zaban jalae to kya karun
main kya karun main kya karun gardan ban gai
main kya karun koi na batae to kya karun
aKHbar se meri KHabar-e-marg ai 'hafiz'
mera hi dost paDh ke sunae to kya karun
(1529) Peoples Rate This