Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2d74e5df960031cec62a40d0b66635a5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ai Dost MiT Gaya Hun Fana Ho Gaya Hun Main - Hafeez Jalandhari Poetry In English - Darsaal

Ai Dost MiT Gaya Hun Fana Ho Gaya Hun Main

ai dost miT gaya hun fana ho gaya hun main

is daur-e-dosti ki dawa ho gaya hun main

qaem kiya hai main ne adam ke wajud ko

duniya samajh rahi hai fana ho gaya hun main

himmat buland thi magar uftad dekhna

chup-chap aaj mahw-e-dua ho gaya hun main

ye zindagi fareb-e-musalsal na ho kahin

shayad asir-e-dam-e-bala ho gaya hun main

han kaif-e-be-KHudi ki wo saat bhi yaad hai

mahsus kar raha tha KHuda ho gaya hun main

(1072) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Dost MiT Gaya Hun Fana Ho Gaya Hun Main In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Ai Dost MiT Gaya Hun Fana Ho Gaya Hun Main is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Ai Dost MiT Gaya Hun Fana Ho Gaya Hun Main for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Ai Dost MiT Gaya Hun Fana Ho Gaya Hun Main in PDF.