Ab To Kuchh Aur Bhi Andhera Hai
ab to kuchh aur bhi andhera hai
ye meri raat ka sawera hai
rahzanon se to bhag nikla tha
ab mujhe rahbaron ne ghera hai
aage aage chalo tabar walo
abhi jangal bahut ghanera hai
qafila kis ki pairwi mein chale
kaun sab se baDa luTera hai
sar pe rahi ke sarbarahi ne
kya safai ka hath phera hai
surma-alud KHushk aansuon ne
nur-e-jaan KHak par bikhera hai
rakh rakh ustuKHwan safed safed
yahi manzil yahi basera hai
ai meri jaan apne ji ke siwa
kaun tera hai kaun mera hai
so raho ab 'hafiz' ji tum bhi
ye nai zindagi ka Dera hai
(1854) Peoples Rate This