Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fa6339cd91ea76d8e91d382ce057923c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aashiq Sa Bad-nasib Koi Dusra Na Ho - Hafeez Jalandhari Poetry In English - Darsaal

Aashiq Sa Bad-nasib Koi Dusra Na Ho

aashiq sa bad-nasib koi dusra na ho

mashuq KHud bhi chahe to us ka bhala na ho

hai muddaa-e-ishq hi duniya-e-muddaa

ye muddaa na ho to koi muddaa na ho

ibrat ka dars hai mujhe har surat-e-faqir

hota hai ye KHayal koi baadshah na ho

payan-e-kar maut hi aai ba-ru-e-kar

hum ko to wasl chahiye koi bahana ho

mere aziz mujh ko na chhoDenge qabr tak

ai jaan intizar na kar tu rawana ho

kabe ko ja raha hun nigah su-e-dair hai

hir-phir ke dekhta hun koi dekhta na ho

han ai 'hafiz' chheDta ja naghma-e-hayat

jab tak tera raubab-e-suKHan be-sada na ho

(1095) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aashiq Sa Bad-nasib Koi Dusra Na Ho In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Aashiq Sa Bad-nasib Koi Dusra Na Ho is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Aashiq Sa Bad-nasib Koi Dusra Na Ho for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Aashiq Sa Bad-nasib Koi Dusra Na Ho in PDF.