Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d7453c4e0196c2d56521b44a60280c7a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Raushni Si Kabhi Kabhi Dil Mein - Hafeez Hoshiarpuri Poetry In English - Darsaal

Raushni Si Kabhi Kabhi Dil Mein

raushni si kabhi kabhi dil mein

manzil-e-be-nishan se aati hai

lauT kar nur ki kiran jaise

safar-e-la-makan se aati hai

nau-e-insan hai gosh-bar-awaz

kya KHabar kis jahan se aati hai

apni fariyaad bazgasht na ho

ek sada aasman se aati hai

taKHta-e-dar hai ki taKHta-e-gul

bu-e-KHun gulistan se aati hai

dil se aati hai baat lab pe 'hafiz'

baat dil mein kahan se aati hai

(1020) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raushni Si Kabhi Kabhi Dil Mein In English By Famous Poet Hafeez Hoshiarpuri. Raushni Si Kabhi Kabhi Dil Mein is written by Hafeez Hoshiarpuri. Read famous Poem Raushni Si Kabhi Kabhi Dil Mein for youth and Student by Hafeez Hoshiarpuri. Free Download Raushni Si Kabhi Kabhi Dil Mein in PDF.