Raaz-e-sar-basta Mohabbat Ke Zaban Tak Pahunche
raaz-e-sar-basta mohabbat ke zaban tak pahunche
baat baDh kar ye KHuda jaane kahan tak pahunche
kya tasarruf hai tere husn ka allah allah
jalwe aankhon se utar kar dil-o-jaan tak pahunche
teri manzil pe pahunchna koi aasan na tha
sarhad-e-aql se guzre to yahan tak pahunche
hairat-e-ishq meri husn ka aaina hai
dekhne wale kahan se hain kahan tak pahunche
khul gaya aaj nigahen hain nigahen apni
jalwe hi jalwe nazar aae jahan tak pahunche
wahi is gosha-e-daman ki haqiqat jaane
jo mere dida-e-KHun-naba-fishan tak pahunche
ibtida mein jinhen hum nang-e-wafa samjhe the
hote hote wo gile husn-e-bayan tak pahunche
aah wo harf-e-tamanna ki na lab tak aae
hae wo baat ki ek ek ki zaban tak pahunche
kis ka dil hai ki sune qissa-e-furqat mera
kaun hai jo mere andoh-e-nihan tak pahunche
KHalish-angez tha kya kya teri mizhgan ka KHayal
TuT kar dil mein ye nashtar rag-e-jaan tak pahunche
na pata sang-e-nishan ka na KHabar rahbar ki
justuju mein tere diwane yahan tak pahunche
na ghubar-e-rah-e-manzil hai na aawaz-e-jaras
kaun mujh rahraw-e-gum-karda-e-nishan tak pahunche
saf tauhin hai ye dard-e-mohabbat ki 'hafiz'
husn ka raaz ho aur meri zaban tak pahunche
(1288) Peoples Rate This