Phir Se Aaraish-e-hasti Ke Jo Saman Honge
phir se aaraish-e-hasti ke jo saman honge
tere jalwon hi se aabaad shabistan honge
ishq ki manzil-e-awwal pe Thaharne walo
is se aage bhi kai dasht-o-bayaban honge
tu jahan jaegi ghaarat-gar-e-hasti ban kar
hum bhi ab sath tere gardish-e-dauran honge
kis qadar saKHt hai ye tark-o-talab ki manzil
ab kabhi un se mile bhi to pasheman honge
tere jalwon se jo mahrum rahe hain ab tak
wahi aaKHir tere jalwon ke nigahban honge
ab to majbur hain par hashr ka din aane de
tujh se insaf-talab ru-e-gurezan honge
jab kabhi hum ne kiya ishq pasheman hue
zindagi hai to abhi aur pasheman honge
koi bhi gham ho gham-e-dil ki gham-e-dahr 'hafiz'
hum ba-har-haal ba-har-rang ghazal-KHwan honge
(1035) Peoples Rate This