Mohabbat Karne Wale Kam Na Honge
mohabbat karne wale kam na honge
teri mahfil mein lekin hum na honge
main aksar sochta hun phul kab tak
sharik-e-girya-e-shabnam na honge
zara der-ashna chashm-e-karam hai
sitam hi ishq mein paiham na honge
dilon ki uljhanen baDhti rahengi
agar kuchh mashware baham na honge
zamane bhar ke gham ya ek tera gham
ye gham hoga to kitne gham na honge
kahun bedard kyun ahl-e-jahan ko
wo mere haal se mahram na honge
hamare dil mein sail-e-girya hoga
agar ba-dida-e-pur-nam na honge
agar tu ittifaqan mil bhi jae
teri furqat ke sadme kam na honge
'hafiz' un se main jitna bad-guman hun
wo mujh se us qadar barham na honge
(9044) Peoples Rate This