Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d00dfb3e9b586205c7efccbf072fe769, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Man-o-tu Ka Hijab UThne Na De Ai Jaan-e-yaktai - Hafeez Hoshiarpuri Poetry In English - Darsaal

Man-o-tu Ka Hijab UThne Na De Ai Jaan-e-yaktai

man-o-tu ka hijab uThne na de ai jaan-e-yaktai

kahin aisa na ho ban jaun KHud apna tamannai

wahi main hun wahi hai tere gham ki kar-farmai

kabhi tanhai mein mahfil kabhi mahfil mein tanhai

KHalish-angez hai wo aalam-e-jazb-o-gurez ab tak

teri achchhi buri har baat yun to mujh ko yaad aai

qusur-e-zarf samjhun ya shour-e-lazzat-andozi

tere lutf-o-karam mein tishnagi hi tishnagi pai

na chhoDa daman-e-hosh-o-KHirad dil ne mohabbat mein

saza-e-dil hisar-e-agahi ki qaid-e-tanhai

(982) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Man-o-tu Ka Hijab UThne Na De Ai Jaan-e-yaktai In English By Famous Poet Hafeez Hoshiarpuri. Man-o-tu Ka Hijab UThne Na De Ai Jaan-e-yaktai is written by Hafeez Hoshiarpuri. Read famous Poem Man-o-tu Ka Hijab UThne Na De Ai Jaan-e-yaktai for youth and Student by Hafeez Hoshiarpuri. Free Download Man-o-tu Ka Hijab UThne Na De Ai Jaan-e-yaktai in PDF.