Kuchh Is Tarah Se Nazar Se Guzar Gaya Koi
kuchh is tarah se nazar se guzar gaya koi
ki dil ko gham ka saza-war kar gaya koi
dil-e-sitam-zada ko jaise kuchh hua hi nahin
KHud apne husn se yun be-KHabar gaya koi
wo ek jalwa-e-sad-rang ek hujum-e-bahaar
na-jaane kaun tha jaane kidhar gaya koi
nazar ki tishna-e-didar thi rahi mahrum
nazar uThai to dil mein utar gaya koi
nigah-e-shauq ki mahrumiyon se na-waqif
nigah-e-shauq pe ilzam dhar gaya koi
ab un ke husn mein husn-e-nazar bhi shamil hai
kuchh aur meri nazar se sanwar gaya koi
kisi ke panw ki aahaT ki dil ki dhaDkan thi
hazar bar uTha su-e-dar gaya koi
nasib-e-ahl-e-wafa ye sukun-e-dil to na tha
zarur nala-e-dil be-asar gaya koi
uTha phir aaj mere dil mein rashk ka tufan
phir un ki rah se ba-chashm-e-tar gaya koi
ye kah ke yaad karenge 'hafiz' dost mujhe
wafa ki rasm ko painda kar gaya koi
(880) Peoples Rate This