Kahan Kahan Na Tasawwur Ne Dam Phailae
kahan kahan na tasawwur ne dam phailae
hudud-e-sham-o-sahr se nikal ke dekh aae
nahin payam rah-e-nama-o-payam tu hai
abhi saba se kaho un ke dil ko bahlae
ghurur-e-jada-shanasi baja sahi lekin
suragh-e-manzil-e-maqsud bhi koi pae
KHuda wo din na dikhae ki rahbar ye kahe
chale the jaane kahan se kahan nikal aae
guzar gaya koi darmanda-rah ye kahta
ab is faza mein koi qafile na Thahrae
na jaane un ke muqaddar mein kyun hai tira-shabi
wo ham-nawa jo sahar ko qarib-tar lae
koi fareb-e-nazar hai ki tabnak faza
kise KHabar ki yahan kitne chand gahnae
gham-e-zamana teri zulmaten hi kya kam thin
ki baDh chale hain ab un gesuon ke bhi sae
bahut buland hai is se mera maqam-e-ghazal
agarche main ne mohabbat ke git bhi gae
'hafiz' apna muqaddar 'hafiz' apna nasib
gire the phul magar hum ne zaKHm hi khae
(967) Peoples Rate This