Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_98ebf957aab151f483c8bbb55a71c327, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Har Qadam Par Hum Samajhte The Ki Manzil Aa Gai - Hafeez Hoshiarpuri Poetry In English - Darsaal

Har Qadam Par Hum Samajhte The Ki Manzil Aa Gai

har qadam par hum samajhte the ki manzil aa gai

har qadam par ek nai darpesh mushkil aa gai

ya KHala par hukmaran ya KHak ke andar nihan

zindagi DaT kar anasir ke muqabil aa gai

baDh raha hai dam-ba-dam subh-e-haqiqat ka yaqin

har nafas par ye guman hota hai manzil aa gai

TuTte jate hain rishte joDta jata hun main

ek mushkil kam hui aur ek mushkil aa gai

haal-e-dil hai koi KHwab-awar fasana to nahin

nind abhi se tum ko ai yaran-e-mahfil aa gai

(1108) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Qadam Par Hum Samajhte The Ki Manzil Aa Gai In English By Famous Poet Hafeez Hoshiarpuri. Har Qadam Par Hum Samajhte The Ki Manzil Aa Gai is written by Hafeez Hoshiarpuri. Read famous Poem Har Qadam Par Hum Samajhte The Ki Manzil Aa Gai for youth and Student by Hafeez Hoshiarpuri. Free Download Har Qadam Par Hum Samajhte The Ki Manzil Aa Gai in PDF.