Gham-e-afaq Hai Ruswa Gham-e-dil-bar Ban Ke
gham-e-afaq hai ruswa gham-e-dil-bar ban ke
tohmat-e-ishq lagi hum pe suKHan-war ban ke
wo nahin maut sahi maut nahin nind sahi
koi aa jae shab-e-gham ka muqaddar ban ke
rahbar tum ko banaya hamein malum na tha
rah-rau rah bhaTak jate hain rahbar ban ke
is ziyan-KHane mein ek qatre pe kya kya guzri
kabhi aansu kabhi shabnam kabhi gauhar ban ke
maut ki nind ke maton pe na kyun rashk aae
jagna hai unhen hangama-e-mahshar ban ke
yaad phir aa gain bhuli hui baaten kya kya
phir mulaqat hui aise muqaddar ban ke
aah ye uqda-e-gham bazm-e-tarab mein bhi 'hafiz'
bar-ha aankh chhalak jati hai saghar ban ke
(861) Peoples Rate This