Aisi Bhi Kya Jaldi Pyare Jaane Milen Phir Ya Na Milen Hum
aisi bhi kya jaldi pyare jaane milen phir ya na milen hum
kaun kahega phir ye fasana baiTh bhi jao sun lo koi dam
wasl ki shirini mein pinhan hijr ki talKHi bhi hai kam kam
tum se milne ki bhi KHushi hai tum se juda hone ka bhi gham
husn-o-ishq juda hote hain jaane kya tufan uThega
husn ki aankhen bhi hain pur-nam ishq ki aankhen bhi hain pur-nam
meri wafa to nadani thi tum ne magar ye kya Thani thi
kash na karte mujh se mohabbat kash na hota dil ka ye aalam
parwane ki KHak pareshan shama ki lau bhi larzan larzan
mahfil ki mahfil hai viran kaun kare ab kis ka matam
kuchh bhi ho par in aankhon ne akasr ye aalam bhi dekha
ishq ki duniya naz-e-sarapa husn ki duniya ijz-e-mujassam
shahd-shikan honTon ki larzish ishrat baqi ka gahwara
daera-e-imkan-e-tamanna narm lachakti banhon ke KHam
apne apne dil ke hathon donon hi barbaad hue hain
main hun aur wafa ka rona wo hain aur jafa ka matam
nakaami si nakaami hai mahrumi si mahrumi hai
dil ka manana sai-e-musalsal un ko bhulana koshish-e-paiham
ahd-e-wafa hai aur bhi mohkam teri judai ke main qurban
teri judai ke main qurban ahd-e-wafa hai aur bhi mohkam
(992) Peoples Rate This