Paigham Id
apni aankhon mein KHamistan-e-mai-e-nab liye
apne aariz pe bahaar-e-gul-e-shadab liye
apne mathe pe daraKHshani-e-mahtab liye
nikhat-o-rang liye nur ka sailab liye
id aai hai mohabbat ka naya bab liye
zulf bikhri hai ki rahmat ki ghaTa chhai hai
jis taraf dekhiye ranai hi ranai hai
rahguzar kahkashan ban ke nikhar aai hai
zarra zarra hai jamal-e-dur-e-KHush-ab liye
id aai hai mohabbat ka naya bab liye
KHarzaron pe gulistan ka guman hai imroz
shikwa-e-jaur kisi lab pe kahan hai imroz
multafit chashm-e-hasinan-e-jahan hai imroz
kitne taslim liye kitne hi aadab liye
id aai hai mohabbat ka naya bab liye
kis qadar rahmat-e-saqi-e-azal aam hai aaj
raqs-e-paimana liye gardish-e-ayyam hai aaj
baada-e-kaif se labrez har ek jam hai aaj
ishrat-e-ruh o sukun-e-dil-e-betab liye
id aai hai mohabbat ka naya bab liye
dosh-e-giti pe pareshan hui phir zulf-e-shamim
laDkhaDati hui phirti hai gulistan mein nasim
phir zamin ban gai ghairat-dah-e-gulzar-e-naim
KHak hai taKHta-e-gul bistar-e-sanjab liye
id aai hai mohabbat ka naya bab liye
zindagi ranj-o-alam bhul gai hai ai dost
mahfil-e-zist ba-sad-shauq saji hai ai dost
ishq begana-e-ashufta-sari hai ai dost
husn hai pairahan-e-atlas-o-kamKHwab liye
id aai hai mohabbat ka naya bab liye
dard-e-hasti ki dawa kar len KHulus-e-dil se
aao ek farz ada kar len KHulus-e-dil se
aao tajdid-e-wafa kar len KHulus-e-dil se
jazba-o-shauq-e-ham-ahangi-e-ahbab liye
id aai hai mohabbat ka naya bab liye
(1211) Peoples Rate This