Ye Kaisi Hawa-e-gham-o-azar Chali Hai
ye kaisi hawa-e-gham-o-azar chali hai
KHud baad-e-bahaari bhi sharar-bar chali hai
dekhi hi na thi jis ne shikast aaj tak apni
wo chashm-e-fusun-KHez bhi dil haar chali hai
ab koi hadis-e-qad-o-gesu nahin sunta
duniya mein wo rasm-e-rasan-o-dar chali hai
takta hi nahin koi mai o jam ki jaanib
kya chaal ye tu ne nigah-e-yar chali hai
wo log kahan jaen jo kafir hain na din-dar
phir kashmakash-e-kafir-o-din-dar chali hai
baat aur bhi kuchh mai ki mazammat ke alawa
ye baat to ai shaiKH kai bar chali hai
diwangi-e-shauq mein jo kar gae hum log
meyar-e-KHirad ban ke wo guftar chali hai
sazish na ho kuchh dair o haram walon ki is mein
sunta hun ki mai-KHane mein talwar chali hai
kab yaad kiya hum ko 'hafiz' ahl-e-chaman ne
jab zist su-e-wadi-e-pur-KHar chali hai
(1224) Peoples Rate This