Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_75323528600624b44394e112fb50238c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Hadsa Bhi Shahr-e-nigaran Mein Ho Gaya - Hafeez Banarasi Poetry In English - Darsaal

Ye Hadsa Bhi Shahr-e-nigaran Mein Ho Gaya

ye hadsa bhi shahr-e-nigaran mein ho gaya

be-chehragi ki bhiD mein har chehra kho gaya

jis ko saza mili thi ki jage tamam umr

sunta hun aaj maut ki banhon mein so gaya

harkat kisi mein hai na hararat kisi mein hai

kya shahr tha jo barf ki chaTTan ho gaya

main us ko nafraton ke siwa kuchh na de saka

wo chahaton ka bij mere dil mein bo gaya

marham to rakh saka na koi mere zaKHm par

jo aaya ek nishtar-e-taza chubho gaya

ya kijiye qubul ki har chehra zard hai

ya kahiye har nigah ko yarqan ho gaya

main ne to apne gham ki kahani sunai thi

kyun apne apne gham mein har ek shaKHs kho gaya

us dushman-e-wafa ko dua de raha hun main

mera na ho saka wo kisi ka to ho gaya

ek mah-wash ne chum li peshani-e-'hafiz'

dilchasp hadsa tha jo kal raat ho gaya

(926) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Hadsa Bhi Shahr-e-nigaran Mein Ho Gaya In English By Famous Poet Hafeez Banarasi. Ye Hadsa Bhi Shahr-e-nigaran Mein Ho Gaya is written by Hafeez Banarasi. Read famous Poem Ye Hadsa Bhi Shahr-e-nigaran Mein Ho Gaya for youth and Student by Hafeez Banarasi. Free Download Ye Hadsa Bhi Shahr-e-nigaran Mein Ho Gaya in PDF.