Ye Aur Baat Ki Lahja Udas Rakhte Hain
ye aur baat ki lahja udas rakhte hain
KHizan ke git bhi apni miThas rakhte hain
kahen to kya kahen hum un ki sada-lauhi ko
jo qatilon se tarahhum ki aas rakhte hain
kisi ke samne phailain kis liye daman
tumhaare dard ki daulat jo pas rakhte hain
unhen hayat ki tohmat na do abas yaro
jo apna jism na apna libas rakhte hain
qarib-e-gul-badnan rah chuke hain diwane
ye KHar wo hain jo phulon ki bas rakhte hain
kahan bhigoe koi apne KHushk honTon ko
ye daur wo hai ki dariya bhi pyas rakhte hain
KHuda ka shukr ada kije KHush-nasibi par
'hafiz' aap dil-e-gham-shanas rakhte hain
(1439) Peoples Rate This