Lahu Ki Mai Banai Dil Ka Paimana Bana Dala
lahu ki mai banai dil ka paimana bana Dala
jigar-daron ne maqtal ko bhi mai-KHana bana Dala
hamare jazba-e-tamir ki kuchh dad do yaro
ki hum ne bijliyon ko shama ka shana bana Dala
sitam Dhate ho lekin lutf ka ehsas hota hai
isi andaz ne duniya ko diwana bana Dala
bhari mahfil mein hum ne baat kar li thi un aankhon se
bas itni baat ka yaron ne afsana bana Dala
mere zauq-e-parastish ki karishma-saziyan dekho
kabhi kaba kabhi kabe ko but-KHana bana Dala
shikayat bijliyon se hai na shikwa baad-e-sarsar se
chaman ko KHud chaman walon ne virana bana Dala
chalo achchha hua duniya 'hafiz' ab dur hai hum se
mohabbat ne hamein duniya se begana bana Dala
(1020) Peoples Rate This