Lab-e-furaat Wahi Tishnagi Ka Manzar Hai
lab-e-furaat wahi tishnagi ka manzar hai
wahi husain wahi qatilon ka lashkar hai
ye kis maqam pe lai hai zindagi hum ko
hansi labon pe hai sine mein gham ka daftar hai
yaqin kis pe karen kis ko dost Thahraen
har aastin mein poshida koi KHanjar hai
gila nahin mere honTon pe tang-dasti ka
KHuda ka shukr mera dil abhi tawangar hai
koi to hai jo dhaDakta hai zindagi ban kar
koi to hai jo hamare dilon ke andar hai
use qarib se dekha to ye hua malum
wo bu-e-gul nahin shamshir-e-baad-e-sarsar hai
samajh ke aag lagana hamare ghar mein tum
hamare ghar ke barabar tumhaara bhi ghar hai
meri jabin ko haqarat se dekhne wale
meri jabin se tera aastan munawwar hai
tumhaare qurb ki lazzat nasib hai jis ko
wo ek lamha hayat-e-abad se behtar hai
hamara jurm yahi hai ki haq-parast hain hum
hamare KHun ka pyasa har ek KHanjar hai
wo mere samne aae to kis tarah aae
koi libas hai us ka na koi paikar hai
har ek bala se bachae hue hai jo hum ko
hamare sar pe ye man ki dua ki chadar hai
bhaTak raha hun main sadiyon se dasht-e-ghurbat mein
koi to mujh ko batae kahan mera ghar hai
abhi 'hafiz' gulabon ki baat mat kije
lahuluhan abhi gulsitan ka manzar hai
(1104) Peoples Rate This