KHafa Hai Gar Ye KHudai To Fikr Hi Kya Hai
KHafa hai gar ye KHudai to fikr hi kya hai
teri nigah salamat mujhe kami kya hai
bas ek tajalli-e-rangin bas ek tabassum-e-naz
riyaz-e-dahr mein phulon ki zindagi kya hai
KHuda-rasida sahi lakh barguzida sahi
jo aadmi ko na samjhe wo aadmi kya hai
abas ye mashq-e-ruku-o-sujud hai yaro
agar pata nahin mafhum-e-bandagi kya hai
kahin ye lutf-o-inayat ki ibtida to nahin
tumhin batao ye andaz-e-barhami kya hai
dilon ke tar jo chhu le wahi hai sher 'hafiz'
agar ye baat nahin hai to shairi kya hai
(856) Peoples Rate This