Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8b7e4d9c41a7f5f289967b34ad7555b5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jo Nazar Se Bayan Hoti Hai - Hafeez Banarasi Poetry In English - Darsaal

Jo Nazar Se Bayan Hoti Hai

jo nazar se bayan hoti hai

kya hasin dastan hoti hai

pattharon ko na Thokaren maro

pattharon mein bhi jaan hoti hai

jis ko chhu do tum apne qadmon se

wo zamin aasman hoti hai

be-piye bhi surur hota hai

jab mohabbat jawan hoti hai

zindagi to usi ki hai jis par

wo nazar mehrban hoti hai

jitne unche KHayal hote hain

utni unchi uDan hoti hai

aarzu ki zaban nahin hoti

aarzu be-zaban hoti hai

jis mein shamil ho talKHi-e-gham bhi

kitni miThi wo tan hoti hai

in ki nazron ka ho fusun jis mein

wo ghazal ki zaban hoti hai

KHar ki zindagi-e-be-raunaq

phul ki pasban hoti hai

kaun deta hai ruh ko aawaz

jab haram mein azan hoti hai

ishq ki zindagi 'hafiz' na puchh

har ghaDi imtihan hoti hai

(987) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Nazar Se Bayan Hoti Hai In English By Famous Poet Hafeez Banarasi. Jo Nazar Se Bayan Hoti Hai is written by Hafeez Banarasi. Read famous Poem Jo Nazar Se Bayan Hoti Hai for youth and Student by Hafeez Banarasi. Free Download Jo Nazar Se Bayan Hoti Hai in PDF.