Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_200ccdcda18c7fe5636f6cab15598b43, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ishq Mein Har Nafas Ibaadat Hai - Hafeez Banarasi Poetry In English - Darsaal

Ishq Mein Har Nafas Ibaadat Hai

ishq mein har nafas ibaadat hai

mazhab-e-ishq aadamiyat hai

ek zamana raqib hai mera

jab se hasil teri rifaqat hai

zindagi nam ranj-o-gham hi sahi

phir bhi kis darja KHubsurat hai

ek mohabbat bhari nazar ke siwa

aur kya ahl-e-dil ki qimat hai

chand muKHlis jahan ikaTTha hun

wo jagah ahl-e-dil ki jannat hai

kaun suljhae gesu-e-dauran

apni uljhan se kis ko fursat hai

ek duniya tabah kar Dale

ek zarra mein aisi taqat hai

sitam-dost ho ki lutf dost

jo bhi mil jae wo ghanimat hai

un ko dekhenge be-hijab 'hafiz'

shauq-e-didar agar salamat hai

(1130) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Mein Har Nafas Ibaadat Hai In English By Famous Poet Hafeez Banarasi. Ishq Mein Har Nafas Ibaadat Hai is written by Hafeez Banarasi. Read famous Poem Ishq Mein Har Nafas Ibaadat Hai for youth and Student by Hafeez Banarasi. Free Download Ishq Mein Har Nafas Ibaadat Hai in PDF.