Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_af103653a0375889a5def22493c5e0be, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hamare Ahd Ka Manzar Ajib Manzar Hai - Hafeez Banarasi Poetry In English - Darsaal

Hamare Ahd Ka Manzar Ajib Manzar Hai

hamare ahd ka manzar ajib manzar hai

bahaar chehre pe dil mein KHizan ka daftar hai

na ham-safar na koi naqsh-e-pa na rahbar hai

junun ki rah mein kuchh hai to jaan ka Dar hai

har ek lamha hamein Dar hai TuT jaane ka

ye zindagi hai ki bosida kanch ka ghar hai

isi se laDte hue ek umr bit gai

meri ana hi mere raste ka patthar hai

tamam jism hain jis ke KHayal mein larzan

wo tirgi ka nahin raushni ka KHanjar hai

main ek qatra hun lekin mera nasib to dekh

ki be-qarar mere gham mein ek samundar hai

usi ke pichhe rawan hun main pagalon ki tarah

wo ek shai jo meri dastaras se bahar hai

isi KHayal se milta hai kuchh sakun dil ko

ki na-suburi to is daur ka muqaddar hai

kabhi to is se mulaqat ki ghaDi aae

jo mere dil mein basa hai jo mere andar hai

uqab-e-zulm ke panje abhi kahan TuTe

abhi to faKHta-e-aman KHun mein tar hai

KHuda ki mar ho is jehl-e-agahi pe 'hafiz'

ba-zoam-e-KHud yahan har shaKHs ek payambar hai

(1044) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamare Ahd Ka Manzar Ajib Manzar Hai In English By Famous Poet Hafeez Banarasi. Hamare Ahd Ka Manzar Ajib Manzar Hai is written by Hafeez Banarasi. Read famous Poem Hamare Ahd Ka Manzar Ajib Manzar Hai for youth and Student by Hafeez Banarasi. Free Download Hamare Ahd Ka Manzar Ajib Manzar Hai in PDF.