Gumrah Kah Ke Pahle Jo Mujhse KHafa Hue
gumrah kah ke pahle jo mujh se KHafa hue
aaKHir wo mere naqsh-e-qadam par fida hue
ab tak to zindagi se taaruf na tha koi
tum se mile to zist se bhi aashna hue
aisa nahin ki dil hi muqabil nahin raha
tir-e-nigah-e-naz bhi aksar KHata hue
meri nazar ne tum ko jamal-e-ashna kiya
mujh ko duaen do ki tum ek aaina hue
kya hoga is se baDh ke koi rabt-e-bahami
manzil hamari wo to hum un ka pata hue
ab kya bataen kis ki nigahon ki den thi
wo mai ki jis ke pite hi hum parsa hue
sunta hun ek maqam-e-ziyarat hai aaj kal
wo zindagi ka moD jahan hum juda hue
wo aa gae dawa-e-gham-e-jaan liye hue
lo aaj hum bhi qail-e-dast-e-dua hue
kab zindagi ne hum ko nawaza nahin 'hafiz'
kab hum pe bab-e-lutf-o-inayat na wa hue
(958) Peoples Rate This