Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_574dd04f45db03bec792e28da87bcc9f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Ki Aawaz Mein Aawaz Milate Rahiye - Hafeez Banarasi Poetry In English - Darsaal

Dil Ki Aawaz Mein Aawaz Milate Rahiye

dil ki aawaz mein aawaz milate rahiye

jagte rahiye zamane ko jagate rahiye

daulat-e-ishq nahin bandh ke rakhne ke liye

is KHazane ko jahan tak ho luTate rahiye

zindagi bhi kisi mahbub se kuchh kam to nahin

pyar hai us se to phir naz uThate rahiye

zindagi dard ki taswir na banne pae

bolte rahiye zara hanste hansate rahiye

ruThna bhi hai hasinon ki ada mein shamil

aap ka kaam manana hai manate rahiye

phul bikhraata hua main tau chala jaunga

aap kanTe meri rahon mein bichhate rahiye

bewafai ka zamana hai magar aap 'hafiz'

naghma-e-mehr-o-wafa sab ko sunate rahiye

(808) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ki Aawaz Mein Aawaz Milate Rahiye In English By Famous Poet Hafeez Banarasi. Dil Ki Aawaz Mein Aawaz Milate Rahiye is written by Hafeez Banarasi. Read famous Poem Dil Ki Aawaz Mein Aawaz Milate Rahiye for youth and Student by Hafeez Banarasi. Free Download Dil Ki Aawaz Mein Aawaz Milate Rahiye in PDF.