Bhagte Sayon Ke Pichhe Ta-ba-kai DauDa Karen
bhagte sayon ke pichhe ta-ba-kai dauDa karen
zindagi tu hi bata kab tak tera pichha karen
ru-e-gul ho chehra-e-mahtab ho ya husn-e-dost
har chamakti chiz ko kuchh dur se dekha karen
be-niyazi KHud sarapa iltija ban jaegi
aap apni dastan mein husn to paida karen
dil ki tha KHush-fahm aagah-e-haqiqat ho gaya
shukr bhejen ya teri bedad ka shikwa karen
mughbachon se mohtasib tak saikDon darbar hain
ek saghar ke liye kis kis ko hum sajda karen
tishnagi had se baDhi hai mashghala koi nahin
shisha-o-saghar na toDen baada-kash to kya karen
dusron par tabsira farmane se pahle 'hafiz'
apne daman ki taraf bhi ek nazar dekha karen
(861) Peoples Rate This