Tu Na Ho Ham-nafas Agar Jine Ka Lutf Hi Nahin
tu na ho ham-nafas agar jine ka lutf hi nahin
jis mein na tu sharik ho maut hai zindagi nahin
ishrat-e-did hai yahi apna bhi kuchh rahe na hosh
jalwa ba-qaid-e-tab-e-did asl mein jalwa hi nahin
awwal-e-ishq hi mein kya dil ka maal dekhna
ye to hai ibtida-e-soz aag abhi lagi nahin
ishq hai kaif-e-be-KHudi is ko KHudi se kya gharaz
jis ki faza ho wasl o hijr ishq wo ishq hi nahin
ye bhi na ho KHabar ki sar sajde mein hai jhuka hua
jis mein ho bandagi ka hosh wo koi bandagi nahin
kis ka sar-e-niyaz tha pa-e-ayaz par jhuka
mana-e-bandagi-e-shauq satwat-e-KHusrawi nahin
kar na sukun-e-dil ka gham hadi-e-mubtala zara
ishq ki bargah mein dard ki kuchh kami nahin
(900) Peoples Rate This