Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_29c9ceab53c50c74d4ddcfd789dac464, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hazar KHak Ke Zarron Mein Mil Gaya Hun Main - Hadi Machlishahri Poetry In English - Darsaal

Hazar KHak Ke Zarron Mein Mil Gaya Hun Main

hazar KHak ke zarron mein mil gaya hun main

maal-e-shauq hun aaina-e-wafa hun main

kahan ye wusat-e-jalwa kahan ye dida-e-tang

kabhi tujhe kabhi apne ko dekhta hun main

shahid-e-ishq ke jalwe ki intiha hi nahin

hazar rang se aalam mein ru-numa hun main

mera wajud haqiqat mera adam dhoka

fana ki shakl mein sar-chashma-e-baqa hun main

hai teri aankh mein pinhan mera wajud o adam

nigah pher le phir dekh kya se kya hun main

mera wajud bhi tha koi chiz kya malum

is e'tibar se pahle hi miT chuka hun main

shumar kis mein karun nisbat-e-haqiqi ko

KHuda nahin hun magar mazhar-e-KHuda hun main

mera nishan nigah-e-haq-nagar pe hai mauquf

na KHud-shanas hun 'hadi' na KHud-numa hun main

(914) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hazar KHak Ke Zarron Mein Mil Gaya Hun Main In English By Famous Poet Hadi Machlishahri. Hazar KHak Ke Zarron Mein Mil Gaya Hun Main is written by Hadi Machlishahri. Read famous Poem Hazar KHak Ke Zarron Mein Mil Gaya Hun Main for youth and Student by Hadi Machlishahri. Free Download Hazar KHak Ke Zarron Mein Mil Gaya Hun Main in PDF.