Tumhaare Ganw Se Jo Rasta Nikalta Hai
tumhaare ganw se jo rasta nikalta hai
main bar bar usi raste guzra hun
har ek zarra yahan ka meri nigah mein hai
tumhaare ganw ke us raste ka ek ek moD
khuda hua hai mere panw ki lakiron mein
har ek moD pe rukta hua main guzra hun
kabhi sunand ki dukkan pe ja ke khaya pan
kabhi bhare hue bazar par nazar dauDai
kabhi sharif ke hotel pe ruk ke pi li chae
mujhe sharif se matlab na kuchh sunand se kaam
na us bhare hue bazar se mujhe koi rabt
wo puchhen haal main un se kahun ki achchha hun
wo mujh se baDhti hui qimaton ka zikr karen
main un se shahr ki be-lutfiyon ki baat karun
guzarta hai bas is tarah ek do lamhe
aur is ke baad saDak par qadam baDhata hai
tumhaare ganw se jo rasta nikalta hai
main bar bar usi raste se guzra hun
kabhi to kaam ke hile se ya kabhi yunhi
aur in dinon to koi kaam sujhta bhi nahin
wo daur bit gaya mera kaam KHatm hua
rahi na kaam se nisbat mujhe tumhaare baad
par ek lagan jo kabhi thi tumhaare kuche se
usi lagan ke sahaare phir aa gaya hun yahan
abhi sharif ke hotel pe aa ke baiTha hun
abhi sunand ki dukkan se pan khaunga
zara si der yahan ruk ke kar hi lunga sair
phir apne waqt pe raste pe baDh hi jaunga
ye dekho baDhne hi wali hai jaise ganw ki sham
ye jaise uThne hi wala hai ganw ka bazar
yahan se waise hi bas main bhi uThne wala hun
bisan-e-sham bas ab main bhi baDh hi jaunga
na koi mujh se ye puchhega kyun main aaya tha
na main kisi se kahunga kahan main jata hun
aur ek umar se is tarah jaane kitni bar
tumhaare ganw ke us raste se guzra hun
aur ab na jaane isi tarah aur kitni bar
tumhaare ganw us is raste se guzrunga
(3107) Peoples Rate This