Main Nahin Ja Paunga Yaro Su-e-gulzar Abhi

main nahin ja paunga yaro su-e-gulzar abhi

dekhni hai aab-ju-e-zist ki raftar abhi

kar chuka hun par ye dariya na jaane kitni bar

par ye dariya karunga aur kitni bar abhi

ghum phir kar dasht-o-sahra phir wahin le aae panw

dil nahin hai shayad is nazzare se be-zar abhi

kawish-e-paiham abhi ye silsila rukne na pae

jaan abhi aankhon mein hai aur panw mein raftar abhi

ai mere arman-e-dil bas ek zara kuchh aur sabr

raat abhi kaTne ko hai milne ko bhi hai yar abhi

jazba-e-dil dekhna bhaTka na dena rah se

muntazir hoga mera bhi KHud mera dil-dar abhi

hongi to is rah-guzar mein bhi kamin-gahen hazar

phir bhi ye bar-e-safar kyun ho mujhe dushwar abhi

(1069) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Nahin Ja Paunga Yaro Su-e-gulzar Abhi In English By Famous Poet Habib Tanvir. Main Nahin Ja Paunga Yaro Su-e-gulzar Abhi is written by Habib Tanvir. Read famous Poem Main Nahin Ja Paunga Yaro Su-e-gulzar Abhi for youth and Student by Habib Tanvir. Free Download Main Nahin Ja Paunga Yaro Su-e-gulzar Abhi in PDF.