Be-mahal Hai Guftugu Hain Be-asar Ashaar Abhi
be-mahal hai guftugu hain be-asar ashaar abhi
zindagi be-lutf hai na-puKHta hain afkar abhi
puchhte rahte hain ghairon se abhi tak mera haal
aap tak pahunche nahin shayad mere ashaar abhi
zindagi guzri abhi is aag ke girdab mein
dil se kyun jaane lagi hirs-lab-o-ruKHsar abhi
han ye sach hai sar-ba-sar khoe gae hain aql-o-hosh
dil mein dhaDkan hai abhi dil to hai KHud-muKHtar abhi
kyun na kar lun aur abhi sair-e-bahaar-e-lala-zar
main nahin mahsus karta hun nahif-o-zar abhi
(1131) Peoples Rate This