Bhae Kabir Udas
ek paTri par sardi mein apni taqdir ko roe
duja zulfon ki chhanw mein sukh ki sej pe soe
raj-singhasan par ek baiTha aur ek us ka das
bhae kabir udas
unche unche aiwanon mein murakh hukm chalaen
qadam qadam par is nagri mein panDit dhakke khaen
dharti par bhagwan bane hain dhan hai jin ke pas
bhae kabir udas
git likhaen paise na den film nagar ke log
un ke ghar baje shahnai lekhak ke ghar sog
gaek sur mein kyun kar gae kyun na kaTe ghas
bhae kabir udas
kal tak tha jo haal hamara haal wahi hai aaj
'jalib' apne des mein sukh ka kal wahi hai aaj
phir bhi mochi-gate pe leader roz karen bakwas
bhae kabir udas
(4460) Peoples Rate This