Roe Bhagat Kabir
puchh na kya lahore mein dekha hum ne miyan-'nazir'
pahnen suiT angrezi bolen aur kahlaen 'mir'
chaudhariyon ki muTThi mein hai shair ki taqdir
roe bhagat kabir
ik-duje ko jahil samjhen naT-khaT buddhiwan
metro mein jo chae pilae bas wo bap saman
sab se achchha shair wo hai jis ka yar mudir
roe bhagat kabir
saDkon par bhuke phirte hain shair mausiqar
actorson ke bap liye phirte hain motor-kar
film-nagar tak aa pahunche hain sayyad pir faqir
roe bhagat kabir
lal-din ki koThi dekhi rang bhi jis ka lal
shahr mein rah kar KHub uDae dahqanon ka mal
aur kahe ajdad ne baKHshi mujh ko ye jagir
roe bhagat kabir
jis ko dekho leader hai aur se milo wakil
kisi tarah bharta hi nahin hai peT hai un ka jhil
majburan sunna paDti hai un sab ki taqdir
roe bhagat kabir
mahfil se jo uTh kar jae kahlae wo bor
apni masjid ki tarifen baqi jute-chor
apna jhang bhala hai pyare jahan hamari hir
roe bhagat kabir
(4832) Peoples Rate This