14-August
kahan TuTi hain zanjiren hamari
kahan badli hain taqriren hamari
watan tha zehn mein zindan nahin tha
chaman KHwabon ka yun viran nahin tha
bahaaron ne diye wo dagh hum ko
nazar aata hai maqtal bagh hum ko
gharon ko chhoD kar jab hum chale the
hamare dil mein kya kya walwale the
ye socha tha hamara raj hoga
sar-e-mehnat-kashan par taj hoga
na luTega koi mehnat kisi ki
milegi sab ko daulat zindagi ki
na chatengi hamara KHun mashinen
banengi rashk-e-jannat ye zaminen
koi gauhar koi aadam na hoga
kisi ko rahzanon ka gham na hoga
luTi har-gam par ummid apni
moharram ban gai har id apni
musallat hai saron par raat ab tak
wahi hai surat-e-haalat ab tak
(5813) Peoples Rate This