Jawan Aag
goliyon se ye jawan aag na bujh paegi
gas phenkoge to kuchh aur bhi lahraegi
ye jawan aag jo har shahr mein jag uTThi hai
tirgi dekh ke is aag ko bhag uTThi hai
kab talak is se bachaoge tum apne daman
ye jawan aag jala degi tumhaare aiwan
ye jawan KHun bahaya hai jo tum ne aksar
ye jawan KHun nikal aaya hai ban ke lashkar
ye jawan KHun siyah-raat ka rahne dega
dukh mein Dube hue haalat na rahne dega
ye jawan KHun hai mahlon pe lapakta tufan
us ki yalghaar se har ahl-e-sitam hai larzan
ye jawan fikr tumhein KHun na pine degi
ghasibo ab na tumhein chain se jine degi
qatilo rah se haT jao ki hum aate hain
apne hathon mein liye surKH alam aate hain
toD degi ye jawan fikr hisar-e-zindan
jag uTThe hain mere des ke bekas insan
(4297) Peoples Rate This