Zulmat Ko Ziya Sarsar Ko Saba Bande Ko KHuda Kya Likhna

zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko KHuda kya likhna

patthar ko guhar diwar ko dar kargas ko huma kya likhna

ek hashr bapa hai ghar mein dam ghuTta hai gumbad-e-be-dar mein

ek shaKHs ke hathon muddat se ruswa hai watan duniya-bhar mein

ai dida-waro is zillat ko qismat ka likha kya likhna

zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko KHuda kya likhna

ye ahl-e-hashm ye dara-o-jam sab naqsh bar-ab hain ai hamdam

miT jaenge sab parwarda-e-shab ai ahl-e-wafa rah jaenge hum

ho jaan ka ziyan par qatil ko masum-ada kya likhna

zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko KHuda kya likhna

logon pe hi hum ne jaan wari ki hum ne hi unhi ki gham-KHwari

hote hain to hon ye hath qalam shaer na banenge darbari

iblis-numa insanon ki ai dost sana kya likhna

zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko KHuda kya likhna

haq baat pe koDe aur zindan baatil ke shikanje mein hai ye jaan

insan hain ki sahme baiThe hain KHunKHar darinde hain raqsan

is zulm-o-sitam ko lutf-o-karam is dukh ko dawa kya likhna

zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko KHuda kya likhna

har sham yahan sham-e-viran aaseb-zada raste galiyan

jis shahr ki dhun mein nikle the wo shahr dil-e-barbaad kahan

sahra ko chaman ban kar gulshan baadal ko rida kya likhna

zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko KHuda kya likhna

ai mere watan ke fankaro zulmat pe na apna fan waro

ye mahl-saraon ke basi qatil hain sabhi apne yaro

wirse mein hamein ye gham hai mila is gham ko naya kya likhna

zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko KHuda kya likhna

(7272) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zulmat Ko Ziya Sarsar Ko Saba Bande Ko KHuda Kya Likhna In English By Famous Poet Habib Jalib. Zulmat Ko Ziya Sarsar Ko Saba Bande Ko KHuda Kya Likhna is written by Habib Jalib. Read famous Poem Zulmat Ko Ziya Sarsar Ko Saba Bande Ko KHuda Kya Likhna for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Zulmat Ko Ziya Sarsar Ko Saba Bande Ko KHuda Kya Likhna in PDF.