Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f56d1a274b813a440871106abe14f820, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
UTTho Marne Ka Haq Istimal Karo - Habib Jalib Poetry In English - Darsaal

UTTho Marne Ka Haq Istimal Karo

jine ka haq samraj ne chhin liya

uTTho marne ka haq istimal karo

zillat ke jine se marna behtar hai

miT jao ya qasr-e-sitam pamal karo

samraj ke dost hamare dushman hain

inhi se aansu aahen aangan aangan hain

inhi se qatl-e-am hua aashaon ka

inhi se viran ummidon ka gulshan hai

bhuk nang sab den inhi ki hai logo

bhul ke bhi mat in se arz-e-haal karo

jine ka haq samraj ne chhin liya

uTTho marne ka haq istimal karo

subh-o-sham filistin mein KHun bahta hai

saya-e-marg mein kab se insan rahta hai

band karo ye bawardi ghunda-gardi

baat ye ab to ek zamana kahta hai

zulm ke hote amn kahan mumkin yaro

ise miTa kar jag mein amn bahaal karo

jine ka haq samraj ne chhin liya

uTTho marne ka haq istimal karo

(2826) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

UTTho Marne Ka Haq Istimal Karo In English By Famous Poet Habib Jalib. UTTho Marne Ka Haq Istimal Karo is written by Habib Jalib. Read famous Poem UTTho Marne Ka Haq Istimal Karo for youth and Student by Habib Jalib. Free Download UTTho Marne Ka Haq Istimal Karo in PDF.