Shahr-e-zulmat Ko Sabaat Nahin
ai nizam-e-kohan ke farzando
ai shab-e-tar ke jigar-bando
ye shab-e-tar jawedan to nahin
ye shab-e-tar jaane wali hai
ta-ba-kai tirgi ke afsane
subh-e-nau muskurane wali hai
ai shab-e-tar ke jigar-gosho
ai sahr-dushmano sitam-gosho
subh ka aaftab chamkega
TuT jaega jahl ka jadu
phail jaegi in dayaron mein
ilm-o-danish ki raushni har-su
ai shab-e-tar ke nigahbano
sham-e-ahd-e-ziyan ke parwano
shahr-e-zulmat ke sana-KHwano
shahr-e-zulmat ko sabaat nahin
aur kuchh der subh par hans lo
aur kuchh der koi baat nahin
(2431) Peoples Rate This