Sahafi Se
qaum ki behtari ka chhoD KHayal
fikr-e-tamir-e-mulk dil se nikal
tera parcham hai tera dast-e-sawal
be-zamiri ka aur kya ho maal
ab qalam se izar-band hi Dal
tang kar de gharib par ye zamin
KHam hi rakh aastan-e-zar pe jabin
aib ka daur hai hunar ka nahin
aaj husn-e-kamal ko hai zawal
ab qalam se izar-band hi Dal
kyun yahan subh-e-nau ki baat chale
kyun sitam ki siyah raat Dhale
sab barabar hain aasman ke tale
sab ko rajat-pasand kah kar Tal
ab qalam se izar-band hi Dal
nam se peshtar laga ke amir
har musalman ko bana ke faqir
qasr-o-aiwan mein ho qayam-pazir
aur KHutbon mein de 'umar' ki misal
ab qalam se izar-band hi Dal
aamariyyat ki ham-nawai mein
tera ham-sar nahin KHudai mein
baadshahon ki rahnumai mein
roz islam ka julus nikal
ab qalam se izar-band hi Dal
lakh honTon pe dam hamara ho
aur dil subh ka sitara ho
samne maut ka nazara ho
likh yahi Thik hai mariz ka haal
ab qalam se izar-band hi Dal
(2506) Peoples Rate This