Nilo
tu ki na-waqif-e-adab-e-shahanshahi thi
raqs zanjir pahan kar bhi kiya jata hai
tujh ko inkar ki jurat jo hui to kyunkar
saya-e-shah mein is tarah jiya jata hai
ahl-e-sarwat ki ye tajwiz hai sarkash laDki
tujh ko darbar mein koDon se nachaya jae
nachte nachte ho jae jo pael KHamosh
phir na ta-zist tujhe hosh mein laya jae
log is manzar-e-jaankah ko jab dekhenge
aur baDh jaega kuchh satwat-e-shahi ka jalal
tere anjam se har shaKHs ko ibrat hogi
sar uThane ka reaya ko na aaega KHayal
tab-e-shahana pe jo log giran hote hain
han unhen zahr bhara jam diya jata hai
tu ki na-waqif-e-adab-e-shahanshahi thi
raqs zanjir pahan kar bhi kiya jata hai
(2706) Peoples Rate This