Mushir
main ne us se ye kaha
ye jo das karoD hain
jahl ka nichoD hain
un ki fikr so gai
har umid ki kiran
zulmaton mein kho gai
ye KHabar durust hai
un ki maut ho gai
be-shuur log hain
zindagi ka rog hain
aur tere pas hai
un ke dard ki dawa
main ne us se ye kaha
tu KHuda ka nur hai
aql hai shuur hai
qaum tere sath hai
tere hi wajud se
mulk ki najat hai
tu hai mahr-e-subh-e-nau
tere baad raat hai
bolte jo chand hain
sab ye shar-pasand hain
un ki khinch le zaban
un ka ghonT de gala
main ne us se ye kaha
jin ko tha zaban pe naz
chup hain wo zaban-daraaz
chain hai samaj mein
be-misal farq hai
kal mein aur aaj mein
apne KHarch par hain qaid
log tere raj mein
aadmi hai wo baDa
dar pe jo rahe paDa
jo panah mang le
us ki baKHsh de KHata
main ne us se ye kaha
har wazir har safir
be-nazir hai mushir
wah kya jawab hai
tere zehn ki qasam
KHub intiKHab hai
jagti hai afsari
qaum mahw-e-KHwab hai
ye tera wazir-KHan
de raha hai jo bayan
paDh ke un ko har koi
kah raha hai marhaba
main ne us se ye kaha
chin apna yar hai
us pe jaan-nisar hai
par wahan hai jo nizam
us taraf na jaiyo
us ko dur se salam
das karoD ye gadhe
jin ka nam hai awam
kya banenge hukmaran
tu yaqin hai ye guman
apni to dua hai ye
sadr tu rahe sada
main ne us se ye kaha
(2767) Peoples Rate This