Mulaqat
jo ho na saki baat wo chehron se ayan thi
haalat ka matam tha mulaqat kahan thi
us ne na Thaharne diya pahron mere dil ko
jo teri nigahon mein shikayat meri jaan thi
ghar mein bhi kahan chain se soe the kabhi hum
jo raat hai zindan mein wahi raat wahan thi
yaksan hain meri jaan qafas aur nasheman
insan ki tauqir yahan hai na wahan thi
shahon se jo kuchh rabt na qaem hua apna
aadat ka bhi kuchh jabr tha kuchh apni zaban thi
sayyaad ne yunhi to qafas mein nahin Dala
mashhur gulistan mein bahut meri fughan thi
tu ek haqiqat hai meri jaan meri hamdam
jo thi meri ghazlon mein wo ek wahm-o-guman thi
mahsus kiya main ne tere gham se gham-e-dahr
warna mere ashaar mein ye baat kahan thi
(4498) Peoples Rate This