Mira-ji
git kya kya likh gaya kya kya fasane kah gaya
nam yunhi to nahin us ka adab mein rah gaya
ek tanhai rahi us ki anis-e-zindagi
kaun jaane kaise kaise dukh wo tanha sah gaya
soz 'mira' ka mila ji ko to mira-ji bana
dil-nashin likkhe suKHan aur dhaDkanon mein rah gaya
dard jitna bhi use bedard duniya se mila
shaeri mein Dhal gaya kuchh aansuon mein bah gaya
ek nai chhab se jiya wo ek ajab Dhab se jiya
aankh uTha kar jis ne dekha dekhta hi rah gaya
us se aage koi bhi jaane nahin paya abhi
naqsh ban ke rah gaya jo us ki rau mein bah gaya
(1733) Peoples Rate This