Mata-e-ghair
aaKHir-e-kar ye saat bhi qarib aa pahunchi
tu meri jaan kisi aur ki ho jaegi
kal talak mera muqaddar thi teri zulf ki sham
kya taghayyur hai ki tu ghair ki kahlaegi
mere gham-KHane mein tu ab na kabhi aaegi
teri sahmi hui masum nigahon ki zaban
meri mahbub koi ajnabi kya samjhega
kuchh jo samjha bhi to is ain-KHushi ke hangam
teri KHamosh nigahi ko haya samjhega
tere bahte hue ashkon ko ada samjhega
meri dam-saz zamane se chali aati hain
rehn-e-gham waqf-e-alam sada-dilon ki aankhen
ye naya zulm nahin pyar ke matwalon par
hum ne dekhin yunhi nam sada-dilon ki aankhen
aur ro len koi dam sada-dilon ki aankhen
(2029) Peoples Rate This