KHuda Hamara Hai
KHuda tumhaara nahin hai KHuda hamara hai
use zamin pe ye zulm kab gawara hai
lahu piyoge kahan tak hamara dhanwano
baDhao apni dukan sim-o-zar ke diwano
nishan kahin na rahega tumhaara shaitano
hamein yaqin hai ki insan us ko pyara hai
KHuda tumhaara nahin hai KHuda hamara hai
use zamin pe ye zulm kab gawara hai
nae shuur ki hai raushni nigahon mein
ek aag si bhi hai ab apni sard aahon mein
khilenge phul nazar ke sahar ki banhon mein
dukhe dilon ko isi aas ka sahaara hai
KHuda tumhaara nahin hai KHuda hamara hai
use zamin pe ye zulm kab gawara hai
tilism-e-saya-e-KHauf-o-haras toDenge
qadam baDhaenge zanjir-e-yas toDenge
kabhi kisi ke na hum dil ki aas toDenge
rahega yaad jo ahd-e-sitam guzara hai
use zamin pe ye zulm kab gawara hai
(2388) Peoples Rate This