Ahd-e-saza
ye ek ahd-e-saza hai jaza ki baat na kar
dua se hath uTha rakh dawa ki baat na kar
KHuda ke nam pe zalim nahin ye zulm rawa
mujhe jo chahe saza de KHuda ki baat na kar
hayat ab to inhin mahbason mein guzregi
sitamgaron se koi iltija ki baat na kar
unhi ke hath mein patthar hain jin ko pyar kiya
ye dekh hashr hamara wafa ki baat na kar
abhi to pai hai main ne rihai rahzan se
bhaTak na jaun main phir rahnuma ki baat na kar
bujha diya hai hawa ne har ek daya ka diya
na DhunD ahl-e-karam ko daya ki baat na kar
nuzul-e-habs hua hai falak se ai 'jalib'
ghuTa ghuTa hi sahi dam ghaTa ki baat na kar
(2474) Peoples Rate This