Yun Wo Zulmat Se Raha Dast-o-gareban Yaro
yun wo zulmat se raha dast-o-gareban yaro
us se larzan the bahut shab ke nigahban yaro
us ne har-gam diya hausla-e-taza hamein
wo na ek pal bhi raha hum se gurezan yaro
us ne mani na kabhi tirgi-e-shab se shikast
dil andheron mein raha us ka farozan yaro
us ko har haal mein jine ki ada aati thi
wo na haalat se hota tha pareshan yaro
us ne baatil se na ta-zist kiya samjhauta
dahr mein us sa kahan sahab-e-iman yaro
us ko thi kashmakash-e-dair-o-haram se nafrat
us sa hindu na koi us sa musalman yaro
us ne sulatani-e-jamhur ke naghme likkhe
ruh shahon ki rahi us se pareshan yaro
apne ashaar ki shamon se ujala kar ke
kar gaya shab ka safar kitna wo aasan yaro
us ke giton se zamane ko sanwaren yaro
ruh-e-'sahir' ko agar karna hai shadan yaro
(2452) Peoples Rate This