Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_040eea5c7baf430268bb1d510b36a78f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye UjDe Bagh Virane Purane - Habib Jalib Poetry In English - Darsaal

Ye UjDe Bagh Virane Purane

ye ujDe bagh virane purane

sunate hain kuchh afsane purane

ek aah-e-sard ban kar rah gae hain

wo bite din wo yarane purane

junun ka ek hi aalam ho kyun kar

nai hai shama parwane purane

nai manzil ki dushwari musallam

magar hum bhi hain diwane purane

milega pyar ghairon hi mein 'jalib'

ki apne to hain begane purane

(2375) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Ye UjDe Bagh Virane Purane In English By Famous Poet Habib Jalib. Ye UjDe Bagh Virane Purane is written by Habib Jalib. Read famous Poem Ye UjDe Bagh Virane Purane for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Ye UjDe Bagh Virane Purane in PDF.