Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1826ec1c2df1f57c357529bf9025c1ba, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Aur Baat Teri Gali Mein Na Aaen Hum - Habib Jalib Poetry In English - Darsaal

Ye Aur Baat Teri Gali Mein Na Aaen Hum

ye aur baat teri gali mein na aaen hum

lekin ye kya ki shahr tera chhoD jaen hum

muddat hui hai ku-e-butan ki taraf gae

aawargi se dil ko kahan tak bachaen hum

shayad ba-qaid-e-zist ye saat na aa sake

tum dastan-e-shauq suno aur sunaen hum

be-nur ho chuki hai bahut shahr ki faza

tarik raston mein kahin kho na jaen hum

us ke baghair aaj bahut ji udas hai

'jalib' chalo kahin se use DhunDh laen hum

(2947) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Aur Baat Teri Gali Mein Na Aaen Hum In English By Famous Poet Habib Jalib. Ye Aur Baat Teri Gali Mein Na Aaen Hum is written by Habib Jalib. Read famous Poem Ye Aur Baat Teri Gali Mein Na Aaen Hum for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Ye Aur Baat Teri Gali Mein Na Aaen Hum in PDF.